Thursday, November 23, 2006

kyun ho kavita ka janm hamesha hriday mein
kya mastishk kuch nahin karta...
to fir sara credit dil ka hi kyun...ek din dimaag bhunbhuna raha tha
jaise bacche ke janm ka saara credit maan ko milta hai...pita ko nahin

aakhir shabd to dimag ki hi random access memory mein maujood rahte hain
aur unko jodne ka vyakaran bhi...
dimaag pe daura pad chuka tha

usne lalkaara-"himmat hai to bina shabdon ke apna vajood bana ke dikha"

kavita uthi,ek nanhi si ladki ke paas gayi
chupke se pet ke paas haath le ja ke thodi si gugudi ki
khilkhila uthi ladki...ban gayi kavita

mastishk jhjunjhla ke baith gaya
bahut dino baad aaj kalam uthayi
aisa laga ki bhawna shoonya ho gayi hun main
paraye ho gaye hain saare ehsaas...aur behad ziddi bhi
koi bhi taiyaar nahin
kaagaz ki vedi pe balidaan hone ko
syahi mein ghulne ko tatpar...koi nahin
aham ka takraw yahan bhi
"aakhir kyon kho dein ham apna wajood..
tumhare shabdon mein kyun range ham?"
unhonein poocha
"aakhir kavita ban jane ke baad
kuch bhi to nahin rahta hamara"

main achambhit...
kavita aur ehsaas mein ye kaisa vamanasya
aakhir dono hain ek doosre ke poorak

aur phir dono ki mujhse ladai
pal bhar main hi ho gaya paraya sab kuch
aur maine mehsoos kiya
surrogate maan ki peeda ko...

Thursday, November 16, 2006

Muhabbat gumnaam hi ho to behtar hai
Ise dafn kar lo apne dil mein kahin

Zamana dekh ke hans dega mere aansuon ko
Behtar hai ki chirag mein roshni nahin

Teri yaadon ka darakht aye mere jaanashin
Panapta hai Ankhon ki nami mein hi

Tanhaiyan ban gayi meri hamraaz
Parchayiion ki ab jarurat nahin

Kyun maangun main rab se aur kuch

tere gam ke siwa koi chahat nahin

zinda rakha usne bhi yaqeen ko mere
uski bewaiyan wafaon se kuch kam nahin

khadi hun baahein failaye is lamha
aa baahon mein, maut meri jaanashin

Wednesday, November 15, 2006

Jalne lagi hai darakhton ki chhaon
Ki dariya ubalne laga hai kahin

Kaun daakhil ho gaya dil mein aaj mere
Katra katra Jism sulagne laga hai kahin

Ansu jo chalke to pad gaye fafole
Dhuan banke utha samandar kahin

Jo baarish huyi to giri garm boondein
Aaj barf mein bhi hai thandhak nahin

Dard tera, jakhm jalta hua
Pyaar mein bhi tere raahat nahin

Pata nahin behtar kya hai
Saath tere jalun ya tere bin kahin

Jhulas gaya haath mera tere haath mein
Pyaar hai ye ya hai khudkhushi

Koi bata de aag se yun muhaabat
Os ki ek boond ko ho gai…

Tuesday, November 07, 2006

aaj bhi nahin mila wo khoya hua pal
jo tumse bichadte huye kho gaya tha

yad ki uljhi huyi si galiyon mein
do saath chalte huye ajnabi

unki raah dhoondhne ki koshish
der tak bhatakne ki khwahish

inkaar ki baatein
ikraar ke maayne

baarishon ki shikayatein
bheegne ki mastiyan

sacche se kuch jhooth
jhoohte se kuch sach

kitna kuch tha
jo kuch bhi nahin tha

do sarhadein ek rishtey ko bant-ti huyi
aur jod-ti huyi bhi

wo rishta jo us waqt nahin tha
aaj bhi nahin hai
kal bhi ho nahin sakega
wo rishta jo waqt ke aayam se baahar tha- aur rahega