Wednesday, January 25, 2006

aaj ek baar jzara mera haath thaam lo
na jaane kyon lagta hai ki nahin bache hain jyaada din
hamare tumhare saath rehne ke
achanak se lagta hia ke jindagi badi tezi se guzar gayi
aur hum
hum sirf dekhte rahe
jindagi ka guzarna mehsoos karte rahe
sochte rahe ki in lamhon ki trh khushgawar lamhe jindagi mein hamesha rahenge
par aaj, aaj achanak se lagta hai ki waqt kitna kam reh gaya hai
ungliyon pe gin sakte hain maheene
saath saath yun aana, ladna jhagadna
exam mein saara answer dictate karana
aur phir ladna ki isse to accha hum khud hi likh lete
jaade ki dhoop mein laptop le ke presentation banana
chaay peena, chocalate khana
kya yaad aayega tumhein bhi itna hi, jitna ki mujhe
kya tum chaahoge ki in lamhon ka ek hissa tumhara ho
kya tum ye sochoge ki wo saare lamhe jo humne saath bitaye the
maine sahez kar rakhe hain
kya tum ye jaanoge ki woh jo thi
shayad jise jaanne ki koshish nahin ki tumne
wo tumhein khush dekh kar muskura leti thi
tumhein udas dekh kar sade huye pj maar karti thi
lunch isliye tumhare saath karti thi ki tum thaali mein khaana chod na do
bhookhe na uth jaao
tum tum tum aur bas tum
tumhein bataye bina tumhein apni jindagi ki paridhi bhi bana li aur kendra bhi
tum jaan sakoge, nahin na
kyonki
tum kabhi bhi dekh nahin sakoge meri aankhon mein
pyaaar, apnapan, fikr, ya shayad kuch bhi nahin
kyon ki
bheegi aankhon mein aks nazar nahin aate.