agar itna bhi kaafi hai ki usne mud kar dekha to lagta hai ki shayad kahin na kahin koi jazba hai jo karvatein le raha hai uske dil ki masoomn si dhadkano mein. muhabbat isi tarah chupke se ho jaati hai, koi dastak nahin koi aahat nahin, na koi aane ki umeed, socha na tha kabhi kisi ka sirf mud kar dekh lena itna khoobsoorat ehsaas hoga ki lagega jindagi achanak se khusnuma ho gayi hai.
exams ka tension pal bhar ke liye thoda kam ho gaya.uff... ye exams .. na sochte huye bhi exams hi ke baare mein sochte hain, exams na hua pyaar ho gaya
so stupid of me, apna gubaar nikale jaa rahi hoon. sidhe sidhe jaa ke kitab utha kar thoda sa padh loon to shayad thoda aaram se kaam ho sakega.
ghar ki bahut yaad aa rahi hai. hostel ka kamra bada soona soona sa lagta hai, pehli baar exams ke time mein ghar se baahar hoon, mummy nahin hai. milo bana ke dene ke liye raat mein bahut neend aati hai. pata nahin kaise padhayi hogi
aur uspe jhagde, offfo hum to pareshan ho gaye hain in doston se, jab deho tab daant hi pilate rehte hain, kaabhi usi baat ko jara pyaar se keh de to inka kya bigad jaayega
shaam ke dhundhle saaye mein dil ke dar aur ubhar jaate hain
toote sapne, roti yaadein bikhar bikhar sab jaate hain
gam e jindagi se tabah hum maut ki taraf jaayein to
teri hi aankon ke manzar humein lauta ke ghar laate hain
1 comment:
Gayab???No new post!
Post a Comment