Wednesday, March 01, 2006

dard se ye kaun sa rishta nibhati hoon samajh nahin aata.geeli annkhon mien chubhte ashk nazar dhundhli kar dete hain.yun man toot sa gay hai,jindagi se ki aankhein kholne ka dil bhi nahin karta.aisa kuch bi to nahin jo dil ko thoda sukoon pachuncha sake,aankhon ko thodi thandhak mile.

jindagi teri bedili se to maut hi behtar lagti hai.sochti hoon ki aakhir aisa kya maang liya tha ki is kadar gam jindagi ka hissa ban gaya.ek nanhi si khushi hi to maangi hti,kaun sa saare aasman pe hukumat chahi thi.ek lamha maanga tha,aisi kayamat to nahin chahi thi.
kaun kehta hia ki dard ki sarhad hoti hai,kaun kehta hai ki dard ki jaban hoti hai
khwahishon ka ek sailab sa hai jo kahinmere wajood ko duba deta hai
aur kya kisi ke kehne bhar se hi jindagi ka arth badal sakta hai
kyon khamoshi apni lagti hai,kyon geet bhi shor se lagte hain,kyon shaam ke dhundhle saayon ke khoobsoorati humein kahin maut ka chehra dikhati hai

2 comments:

Amit Jain said...

shabdoo ko sajane ki kala to koi aapse sikhe. aapki profile dekhne ki jarurat hi nahin ki aap avertising ki duniya mein haina ap ki posts bata deti hai ki aap mein creative writing ki kala virasat in other words ''DNA'' mein hai.

Manish Kumar said...

hmmmmm...........