Thursday, November 16, 2006

Muhabbat gumnaam hi ho to behtar hai
Ise dafn kar lo apne dil mein kahin

Zamana dekh ke hans dega mere aansuon ko
Behtar hai ki chirag mein roshni nahin

Teri yaadon ka darakht aye mere jaanashin
Panapta hai Ankhon ki nami mein hi

Tanhaiyan ban gayi meri hamraaz
Parchayiion ki ab jarurat nahin

Kyun maangun main rab se aur kuch

tere gam ke siwa koi chahat nahin

zinda rakha usne bhi yaqeen ko mere
uski bewaiyan wafaon se kuch kam nahin

khadi hun baahein failaye is lamha
aa baahon mein, maut meri jaanashin

4 comments:

gmail said...

nameste puja
har har mahadev...
cheers
jhaji.

sanjay jha said...

nameste puja
har har mahadev
cheers
jhaji.

Pallav said...

Pata nahi ki dil mein dafn pyar ko pyar keh bhi sakte hain ya nahi.
Illusion to nahi hota aisa pyar?
Kuch samajh nahi aata.
Apni hi bhawnaon ko samajh nahi paata hoon.
Tadpata hai aisa pyar, lekin ek khushi bhi deta hai.
Adhoora hi sahi, sachcha to hai mera pyar.

#SensibleCinema said...

lajawaab khas taur se - tanhayian ban gayin meri humraaz
parchhayion ki ab zaroorat nahi
Ye panktiyaan bahut kuchh kahti hain. Mohabbat ek ehssas hi to hai hum kyon dena chahte hain usse koi naam, kyun pahnana chahte hain usse apni chahaton ka katila libas, usse palne do, badhne do, marne do dhudh muhe bachche ki tarah kilkari, machane do shor aur dur rakho is professionalism aur aham ki duniyaan se jahan uska dum ghutta hai.Yun hi likhti rahna.
Bhavna Pathak