chahti hun tum samajh jao
jo maine nahin kaha
dekh lo mere aansu
mujhse door rahkar bhi
chahti hun kabhi likhun tummhein
kore pannon ke khat bahut saare
aur intezaar karun
har ek ke jawaab ka
nahin maangungi tumhara saath
kyonki chaha hai tumko...maanga nahin hai
bikharti jaun jab katra katra
chahti hun ki tum bas dekho
sirf itna chahti hun...
jab muskuraun main
aur aankhon mein tir aaye koi aansu
tum dekho...meri muskurahat nahi...wo aansu
2 comments:
okay... this one touched me..
i wish the love you speak of existed.. if it does.. i want nothing less.. :D
puja na jane kyun ungliyaan khud-ba-khud kuch likh rahi hain aur tumhari kavita ke ek ek shabad dil ki gahrayion mein gote laga rahe hai shayad isliye ki ab in gahrayion mai sapono ka vivek kaltiyaan nahi maarta. Tumne bilkul theek kaha dard se bada koi ehsaas nahi aur mujh Anbhuti ka ehsaas dard ki charam seema ko pa gaya hai shayad is karaan itna kuch likh pa rahi hun. Is dard ne mujhe Nav-srijan ki shakti di hai, mai iski tah-e-dil se shukra guzaar hun.
Bhavna
Post a Comment