Thursday, December 01, 2005

i m just too sad today.got up late at abt 8.30.had a presentation in the class.mam didnt hear our presentation because she wasnt satisfied with the brand proposition.i feel life is jinxed.somewhere something has gone wrong.why does it happen to me all the time.

ehsaas kuch adhoore,kuch toote huye se lamhon ka jo har lamha meri pehchaan churaate hain mujhse.kuch lamhe jo badal dena chaahte hain mere poore wajood ko.ye kaisi chaahat hai ki mit ke bhi kisi ko khush dekhne ko ji chaahta hai.

muskuraane ko ji chaahta hai,khwahish hia ki khilkhila ke hans do jindagi ki is berukhi per.par ho nahin paata.aankhen bahut ro chuki hain par lagta hia ki aadat ab tak nahin bani meri aankhon ko rone ki.isliye ab bhi jab saham jaata hai dil to ro deti hain aankhein aur phir dard se saara din dhundhli si tasveeron mein talaashti hoon khud ka aks

love hurts,or the lack of it.

1 comment:

Manish Kumar said...

hmmmmm a bad day will be followed by nice one. tumhari poem padh ke Meena Kumari ji ki ye nazm yaad aa gayin

Tukade tukade din bita,
dhajji dhajji raat mili,
Jisaka jitana aanchal tha,
utani hi saugaat mili.

Rimjhim boondon me jahar bhi hai,
aur amrit bhi,
Aankhen hans di, dil roya…
yah achhi barsat mili.

Jab chaha dil ko samjhayeen,
hansane ki awaz suni,
Jaise koi kahata ho, Lo……
phir tumko ye maat mili.

Maatein kaisi? Ghaten kya?
Chalate rahana aath pahar,
Dil-sa sathi jab paya,
bechaini bhi saath mili.


Keep writing!