Thursday, November 23, 2006

bahut dino baad aaj kalam uthayi
aisa laga ki bhawna shoonya ho gayi hun main
paraye ho gaye hain saare ehsaas...aur behad ziddi bhi
koi bhi taiyaar nahin
kaagaz ki vedi pe balidaan hone ko
syahi mein ghulne ko tatpar...koi nahin
aham ka takraw yahan bhi
"aakhir kyon kho dein ham apna wajood..
tumhare shabdon mein kyun range ham?"
unhonein poocha
"aakhir kavita ban jane ke baad
kuch bhi to nahin rahta hamara"

main achambhit...
kavita aur ehsaas mein ye kaisa vamanasya
aakhir dono hain ek doosre ke poorak

aur phir dono ki mujhse ladai
pal bhar main hi ho gaya paraya sab kuch
aur maine mehsoos kiya
surrogate maan ki peeda ko...

2 comments:

***Punam*** said...

sahi kaha...
ehsaas jab tak shabdon mein nahin utarte....
poore ke poore apne hote hai....
keval apne...!!

My pen said...
This comment has been removed by the author.