Thursday, January 11, 2007


Thaka hun…ruka hun
Par toota nahin hun

Lad ke jindagi se
Aaj main khada hun

Visangatiyon…kutarko
Ka chakrvyuh hai

Main peeche nahin hata
Akele lada hun

Dard ki parton mein lapeta kisi ne
Ki ghut jaaye dam ye bhi chaha kisi ne

Shool bhi sadak par kisi ne bikhere
Rudhir ranjit pairon se athak chala hun

Dukh mera priyatam sath mere chala bas
Muskurahaton se aage kafi tez chala hun

Apni jadein nikal kar dharti ki god se
Bekhauf hawaon mein udata phira hun

Banata hun main har kadam se ek raah
Mian wo nahin jo kisi bhi path pe chala hun

Shoonya sa vistrit hai astitva mera
Har visphot mein bhi avibhajit raha hun

Main thakta nahin main rukta nahin
har janm kaal path par akela chala hun

thaka hun…ruka hun
par toota nahin hun

thakunga rukunga
par tootunga nahin…